apne future me kya kare konsi college me admission leke konsa sabject chone3
Hello Komal
Future me kaunsa Course lena hai iske liye apko pahle yah decide karna hoga ki apko kaya banna hai?
Pahle apko stream choose karni hogi science, commerce or arts me se . Yah apke interest par depend karta hai.
Choice 1
Yadi aap doctor banna chahte ho to Apko physics, chemistry aur biology subjects choose karne honge science stream se . Class xii me achhe marks se pass hona hoga aur uske bad apko Neet me appear hona hoga . Neet ki taiyari class xi se hi start ho jati hai. Neet achhe marks se Crack karne ke bad apko medical college me addmission mil jayega .
Choice 2
Yadi aap Engineer banna chahte ho to science stream me apko physics, chemistry Ayr mathematics ye group choose karna hoga. Class xii ke bad apko CET exam dena hoga ya phur IIT me addmission lena hai to jee main kk taiyari karni hogi. Kysi bhi enteance exam ki taiyari class xi se hi start ho jati hai.
Isliye apko class x ke bad hi seriously apne future ke bare me decide karna hoga .
Choice 3
Yadi IIM me addmission chahte ho to kisi bhi field se graduation karey aur graduation Ke bad MBA kisi achhe B school se kare , apka career set ho jayega.
details ke liye kripya neeche di gayi link par click kare