Eak ladhka utar ki or chalta hai. thodi der baad wo apne dahini mudh jata hai or kuch aage jakar apne baye ghum jata hai. eak k.m chalne k baad wo pun: baye ghum jata hai ab wo kis disha m chal raha hai? option A) utar B) puraw C) dakshin D) paschim pls jaldi answer btaiye hindi m pls halpme fast
Answer (1)
Hello Manisha!
Aapke prashn k mutabik -
Ladka pehle uttar (i.e. north) disha ki aur chalta hai.
Kuch dur jaakar woh apne dahini (right) aur mudta hai matlab wo purav (east) disha ki aur chalna shuru karta hai.
Iske baad wo apne baye taraf mudta hai yani punh uttar (north) ki aur chal deta hai.
Ek kilometer chalne k baad wo ek baar fir se apni baye aur mudta hai jiska matlab hai wo paschim disha ki aur chal raha hai.
Toh iska mul jawaab ye hai k abhi woh ladka D) Paschim (west) disha ki aur chal raha hai.
Ummeed hai apko apne prashn ka uchit jawaab mila hoga.
Agar aapke mann mein iss sandharv mein aur koi prashn ho toh bina kisi uljhan k aap niche diye gaye comment section mein apna sawaal pooch sakte hai.

Comments (0)