Sir MERI age 41 hai aur English bhut poor. Main choti si job krta hoon. IGNOU se graduation Kar rha hoon. Kya main CAT ka exam De Sakta hu.
Hello Kuldeep,
CAT exam dene ke liye koi age limit nahi hain, to haan, aap abhi bhi exam de sakte hain. Par exam dene ke liye aapko eligible hona bohot zaroori hain jiske liye, neeche batai gayi teen sharto me se kisi ek ka hona ZAROORI hain -
1. Bachelors degree honi chahiye. General category ke liye kam se kam 50% marks aur ST/SC/OBC ke liye kam se kam 45% marks hone zaroori hain.
YA FIR
2. Koi professional degree, jaise CS/CA/ICWA aadi, honi chahiye. General category ke liye kam se kam 50% marks aur ST/SC/OBC ke liye kam se kam 45% marks hone zaroori hain.
YA FIR
3. Apko kisi bhi Bachelors degree ke 3rd year ka student hona zaroori hain. General category ke liye kam se kam 50% marks aur ST/SC/OBC ke liye kam se kam 45% marks hone zaroori hain.
I hope aapko isse kaafi madad milegi. All the best!
Related Questions
Know More about
Common Admission Test
Answer Key | Eligibility | Application | Exam Pattern | Admit Card | Preparation Tips | Result | Accepting Colleges
Get Updates BrochureYour Common Admission Test brochure has been successfully mailed to your registered email id “”.