Hi Maine 12th MCVC ie vocational course se complete Kiya hai polytechnic lateral entry se complete karne ke bad engineering lateral entry se complete hoga to mere pure course me physics math chemestry subject nahi the to mere engineering career me kuch problem hogi ie JOB IN ISRO BARC IES
ISRO mein kaam karne ke 2 tareeke hain. Ek toh ap IIST mein join hoke B.Tech padna hain. Aur IIST mein admissions JEE Advanced ke dwaara hoga. Toh aapko Physics aur Mathematics zaroori subjects honge. Aur doosre tareekha hain B.Sc Physics ke dwaara Technical Assistant ke quailfication pe jaane ka. Lekin uskke liye bhi aapko Physics zaroori subject hai.
BARC mein GATE scores ke dwaara admissions hote hain. Isko bhi Physics, Chemistry aur Mathematics ke subjects zaroori hain
IES exam ka eligibility hain Engineering degree. Isko bhi Physics, Chemistry aur Mathematics zaroori hain.
Lekin aap agar lateral entry se padre toh aapka B.Tech qualification consider karenge aur aap ye teeno exas ko apne B.Tech qualification se qualify ho jaate hain. Apko ISRO ke liye B.Tech ke baad M.Tech ke liye IIST mein hona padega. Hindi humara first langugae nahin hain. Isliye agar koi doubts hain toh comment section mein likhlijye.